Sher-o-shayri
Category - Art and Culture
“When words are not enough to express emotions, feelings or situation, sher-o-shayri comes for rescue”
--Anononymous
Sher is a form of poetry. Originally started with Urdu and Persian languages and then other languages (like Hindi, Gujarati and Punjabi) adopted it.
Be it the expression of love, comparison of beloved, or the pain of separation or even humor, shers are best to describe them all.
I like to use shers as a part of my vocabulary, wherever applicable… so do many people, but am very bad at remembering the author of the sher. Anyways, the default author of any complicated sher would be “Mirza Ghalib” for me, ha ha… (Don’t mind)
I wanted to have a collection of shers, but then thought it would be a girlish thing to do that. (Really??)
And the one sher that is revolving in my mind now is
“Hazaron khwahishen aisi ki har khwahish pe dam nikle,
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle…”
Long live Ghalib!!
33 Comments:
Hum bhi wahin moujood the,
Hum se bhi sab pucha kiye....
Hum hass diye, hum chup rahe,
Manzoor tha, parda tera....
yaar mujhe shayri nahi aati.. issliye sorry no comments... :)
My Recent Fav. :
"Ta'alluq torta hun to mukammal tor deta hun
Jise main chhor deta hun, usay main chhor deta hun.
Nahin yaqeen rakhta main kisi kachche ta'alluq par
Jo dhaaga tootne wala ho usko tor deta hun.
Muhabbat ho k nafrat ho, bharaa rehta hun shiddat se
Jidhar se aaye yeh dariya udhar hi mor deta hun.
Ab tak wahi bachpan wahi takhreeb-kaari hai Adeem
Qafas ko tor deta hun, parinday chhor deta hun."
---Adeem Hashmi
Dil Main Na Ho....
"Dil main na ho jurrat to muhabbat nahi milti
Khairaat main itni badi daulat nahi milti
kuchh log yunhi shahar main humse bhi Khafaa hain
har ek se apani bhi tabiyat nahi milti
dekhaa thaa jise maine koi aur thaa shaayad
vo kaun hai jis se teri surat nahi milti
hansate huye cheharon se hai baazaar ki zeenat
rone ko yahaan vaise bhi fursat nahi milti
---Nida Fazli
This is a contribution from my dear friend Aishwarya Tripathi !!
(No, its not a female name... he is my room mate)
------------------------------
Kuch Bhi Bacha Na Kahne Ko Har Baat Ho Gayi,
Aao Kahin Sharab Piye Raat Ho Gayi;
Naksha Utha Ke Koi Naya Shahar Dhoondhiye
Ab To Is Shahar Mai Sabse Mulakat Ho Gayi.
------------------------------
Thanks Tripathi ji
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte….
- Fanna
Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaaye….
- Fanna
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
-- Fanna
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....
- Fanna
Aao aaj hum apna hunar aazmate hain,
Tum teer aazmao,
Hum jigar aazmate hain!!
one more original version
Aa Sikandare hunar aazmaiya,
Tum teer aazma, hum jigar aazmaiya
Dheere Dheere kohraa sa chaane lagaaa,
Mehefil ki koi aaj koyal ki dhun gaane lagaaa,
doh aankhon ka ek samaa chaane lagaaa,
jis mein dooba saara aasmaa nazar aane lagaaa,
chand unki khubsoorati bataane lagaaa,
poocha humne itna haseen kaun hain zameen par yahaan,
jis mein madhosh saara aalam nazar aane lagaaa,
chand koh dekha, taaro koh dekha, samandar koh dekha, kinaaro koh dekha,
bas har taraf seh mere mehboob ka naam aane lagaaa.
--Payal Khanak
Full version of Hazaron Khwahishain Aisi... by Mirza Ghalib
1. Hazaaron Khwahishain 'eisee ke har KHwahish pe dam nikle
bohot nikle mere armaaN lekin fir bhee kam nikle
2. Dare kyooN mera qaatil kya rahega uskee gardan par
wo KHooN, jo chashm-e-tar se 'umr bhar yooN dam_ba_dam nikle
[ KHooN = blood, chashm = eye, tar = wet, dam_ba_dam = continously ]
3. nikalna KHuld se aadam ka sunte aayaiN haiN lekin
bohot be_aabru hokar tere kooche se ham nikle
[ KHuld = heaven, be_aabaru = disgrace, koocha = street ]
4. bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazee ka
agar is turra-e-pur_pech-o-Kham ka pech-o-Kham nikle
[ daraazee = length/delay, qaamat = stature, turra = an ornamental
tassel worn in the turban, pech-o-KHam = curls in the
hair/complexity ]
5. magar likhwaaye koee usko KHat, to hamse likhawaaye
huee subah aur ghar se kaan par rakhkar qalam nikle
6. huee is daur mein mansoob mujhse baada_aashaamee
fir aaya wo zamaana, jo jahaaN se jaam-e-jam nikle
[ mansoob = association, baada_aashaamee = association with
drinking ]
7. huee jinse tavaqqo KHastagee kee daad paane kee
wo hamse bhee ziyaada KHasta-e-teGH-e-sitam nikle
[ tavaqqo = expectation, KHastagee = weakness, daad = justice,
KHasta = broken/sick/injured, teGH = sword, sitam = cruelity ]
8. mohabbat meiN naheeN hai farq jeene aur marne kaa
usee ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikle
9. zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dam nikle
10. Khuda ke waaste parda na kaabe se uthaa zaalim
kaheeN 'eisa na ho yaan bhee wohee kaafir sanam nikle
11. kahaaN maikhaane ka darwaaza 'GHalib' aur kahaaN waaiz
par itana jaante haiN kal wo jaata tha ke ham nikle
[ waaiz = preacher/advisor ]
An inspirational shayari by Amir Khusro
Aaj Basant manaley suhangan
Aaj basant manaley
anjan manjan kar piya
lambay neher lagaaye
tu kya sovay neend maasi
so jaagay teray bhaag, suhagan
aaj basant manalay...;
oonchi naar kay oonchay chitvan
ayso diyo hai banaaye;
Shah-e-amir tohay dekhan ko,
nainon say nain milaaye,
Suhagan aaj basant manalaay..
- Amir Khusro
The Famous KABHI KABHI !!
kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai...
ke zindagii terii zulfo.n kii narm chaao.n me.n
guzarane paatii to shaadaab ho bhii sakatii thii
ye tiirgii jo merii ziist kaa muqaddar hai
terii nazar kii shuaao.n me.n kho bhii sakatii thii
ajab na thaa ke mai.n begaanaa-e-alam ho kar
tere jamaal kii raanaaiiyo.n me.n kho rahataa
teraa gudaaz badan terii niim-baar aa.Nkhe.n
i.nhii.n hasiin fasaano.n me.n maaho rahataa
pukaaratii.n mujhe jab talKhiyaa.N zamaane kii
tere labo.n se halaawat ke ghuu.NT pii letaa
hayaat chiikhatii phiratii barahanaa-sar, aur mai.n
ghanerii zulfo.n ke saaye me.n chhup ke jii letaa
magar ye ho na sakaa aur ab ye aalam hai
ke tuu nahii.n, teraa Gam, terii justajuu bhii nahii.n
guzar rahii hai kuchh is tarah zi.ndahii jaise
ise kisii ke sahaare kii aarazuu bhii nahii.n
zamaane bhar ke dukho.n ko lagaa chukaa huu.N gale
guzar rahaa huu.N kuchh a.njaanii guzar_gaaho.n se
muhiib saaye merii simt ba.Date aate hai.n
hayaat-o-maut ke pur_haul Khaarazaaro.n se
na koii jaadaa na manzil na roshanii kaa suraaG
bhaTak rahii hai Khaalaao.n me.n zindagii merii
i.nhii.n Khalaao.n me.n rah jaauu.Ngaa kabhii khokar
mai.n jaanataa huu.N merii ham-nafas magar yuu.N hii
kabhii kabhii mere dil me.n Khayaal aataa hai
Dedicated !!
NA HOYE MOHABBAT MUJHE KISI SE TERE SIWA
NA RAHI AB ZAROORAT KISI KI TERE SIWA
DHONDH RAHI THI YEH ANKHAIN JISKO SADIYOON SE
DUNIYA MEIN WOH CHEHRA KISI KA NAHI TERE SIWA
GULAAB SE LAIKAR US AASMAAN K CHAAND TALAK
KISI NE ASA HUSAN NA PAAYA BAS TERE SIWA
TERE NAAM SE BEET RAHI HAY ZINDAGI AMAN KI
K KISI AUR KI YAAD EBADAT NA RAHI TERE SIWA
Here comes the funny shayari !!
wah khub he divane,
tune kya suzi he dur ki,
surat he langur ki
or kwahish he hur ki.
(langoor ke muh me angoor... )
kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
kahin zami to kahin aasmaa nahi milta
jise bhi dekhiye vo apne aap mein gum hai
zubaa mili hai magar humzubaa nahi milta
bujhaa saka hai bhala kaun vaqt ke shole
ye aisi aag hai jisme dhuaa nahi milta
tere jahaaN mein aisa nahi ki pyaar na ho
jahaa ummeed ho iski vahaaN nahi milta.
--Nida Fazli
Nasha Sharaab Mein Hota To Nachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul
Uski baatein tho phool ho jaise...
Baaki baatein babool ho jaise
Uska haskar nazar jhukha lena
Saari shartein kubool ho jaise
Kithni dhilkash hay uski khamoshi
Saari baatein phizool ho jaise
Teraa chehara kitana suhaana lagata hai
Tere aage chaand puraanaa lagataa hai
Tirache tirache teer nazar ke lagate hain
Seedhaa seedhaa dil pe nishaana lagata hai
Aag kaa kya hai pal do pal mein lagati hai
Bujhte bujhte ek zamaana lagata hai
Sach to ye hai phool ka dil bhi chhalli hai
Hansata chehara ek bahaana lagata hai
Kal chaudvin ki raat thi
Shab bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha yeh chaand hai
Kuch ne kaha chehra tera
Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye
Hum has diye, hum chup rahe
Manzoor tha parda tera
Is shaher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein
Har shaks tera naam le
Har shaks deewana tera
Koonche ko tere chhodkar
Jogi hi ban jaaye magar
Jungle tere, parbat tere
Basti teri, sahera tera
Bedard sunni ho to chal
Kehta hai kya achchhi ghazal
Aashiq tera, ruswaa tera
Shaayar tera, inshaa tera
La pila de saqiya paimana paimane ke baad
Hosh ki baate karunga hosh me
aane ke baad
Waqt do hi zindagi me guzre hai kathin
Ek tere aane se pahle ek
tere jane ke baad.
hi bhavin....
this is nitin from pune...
i was just surfing on net for a good collection ghalib sher's but all was in vain... not found too much..
can u recommend me sm links...
it will be very helpful for me...
neway... man , you have designed ure blog very well... so congrats buddy
u can find me at nitin.srivastava06@gmail.com
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai
Karta nahin kyun doosra kuch baat cheet,
Dekhta hun main jise voh chup teri mehfil mein hai
Ay shaheed-e-mulk-o-millat main tere oopar nisaar,
Ab teri himmat ka charcha ghair ki mehfil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Waqt aanay dey bata denge tujhe ay aasman,
Hum abhi se kya batayen kya hamare dil mein hai
Khainch kar layee hai sab ko qatl hone ki ummeed,
Aashiqon ka aaj jamghat koocha-e-qaatil mein hai
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Hai liye hathiyaar dushman taak mein baitha udhar,
Aur hum taiyyaar hain seena liye apna idhar.
Khoon se khelenge holi gar vatan muskhil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Haath jin mein ho junoon katt te nahi talvaar se,
Sar jo uth jaate hain voh jhukte nahi lalkaar se.
Aur bhadkega jo shola-sa humaare dil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Hum to ghar se nikle hi the baandhkar sar pe qafan,
Chaahatein liin bhar liye lo bhar chale hain ye qadam.
Zindagi to apni mehmaan maut ki mehfil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dil mein tuufaanon ki toli aur nason mein inquilaab,
Hosh dushman ke udaa denge humein roko na aaj.
Duur reh paaye jo humse dam kahaan manzil mein hai,
Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai.
Dekhna hai zor kitna baazuay qaatil mein hai.
Yoon khara maqtal mein qatil keh raha hai baar-baar,
Kya tamanna-e-shahaadat bhi kisi ke dil mein hai.
Aasmano se kaho ki agar hamari udaan dekhni hai to apna kad aur uncha kar lo
(can anyone complete this?)
kadam kadam pey hawa ki simat ka dihan rakhna
mushkil waqt main dosti ko yaad rakhna
"humari yadoon ki khushboo zaror aey gi tum bas apni
NAAK SAAF rakhna
Funny Shayari
Andaaz apne dekhte hain ...aaiyine mein woh
Aur yeh bhi dekhte hain ki koi dekhta na ho...
yeh dil kya hai - pighla hua sona hai
(what is this heart made of? - molten gold)
tum se to badi ummidein thi humari, par dil hi tod diya hamara... khair isme tumhari koi galati nahi, galati to kambakht tumhare aur mere dil ki hai... mera dil hai ki tumhe chahta hai, aur tumhara dil shayad kisi aur ko chahta hai... is baat ka to kisi ko pata nahi
pehle bhi kitni baar umidon pe pani fira hai, har baar lagta hai ki is baar kuch aur hi baat thi ... ab bhi dil mein taar bajta hai
it's soft
(samajne wale samajh gaye)
Today this one sounds meaningful...
Ranjish hi sahi
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi
Aa Phir Say Mujhay Chor Kay Jaanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi
Pehlay Say Marasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi To
Pehlay Say Marasim Na Sahi Phir Bhi Kabhi To
Rasm-e-Rah-e-Duniya Hi Nibhaanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi
Ab Tak Dil-e-Khush Feham Ko Tujh Say Hain Umeedain
Ab Tak Dil-e-Khush Feham Ko Tujh Say Hain Umeedain
Yeh Aakhri Shamain Bhi Bujhanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi
Kis Kis Ko Batayen Gay Judai Ka Sabab Hum
Kis Kis Ko Batayen Gay Judai Ka Sabab Hum
Tu Mujhsay Khafa Hai To Zamaanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi
Ek Umar Say Hoon Lazzat-e-Girya Say Bhi Mehroom
Ek Umar Say Hoon Lazzat-e-Girya Say Bhi Mehroom
Ay Raahat-e-Jaa'n Mujhko Rulaanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi
Kuch To Meray Pindar-e- Mohabbat Ka Bharam Rakh
Kuch To Meray Pindar-e- Mohabbat Ka Bharam Rakh
Tu Bhi To Kabhi Mujhko Manaanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi
Maana Kay Mohabbat Ka Chupaana Hai Mohabbat
Maana Kay Mohabbat Ka Chupaana Hai Mohabbat
Chup Kay Say Kisi Roz Jataanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Kay Liye AaRanjish Hi Sahi
Jesay Tumhain Aatay Hain Na Aanay Kay Bahaanay
Jesay Tumhain Aatay Hain Na Aanay Kay Bahaanay
Aisay Hi Kisi Roz Na Jaanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Kay Liye Aa
Ranjish Hi Sahi
Post a Comment
<< Home